Tuesday, March 08, 2011

...After a long time

It had got late and I was in a hurry to get home. My mind all occupied I started walking down the road in the darkness. I was still thinking about that report….I was unable to put my mind at ease…I just wantedto find the solution to that problem…why weren’t the nos. adding up…where cud I have gone wrong in the Financial model….probing my mind for the umpteenth time since morning I waved my hand mechanically to stop a cab…the words Wadala came automatically without any thot as if it was a reflex reaction whenever a cab stopped…and I got into the cab…


Just then my phone rang…I knew my mother had to tell me something…she had called me in the afternoon also…I cudn’t remember what it was…I just knew that it was not more significant than thinking of a solution to my problem rt now…so I ignored the call…conveniently postponing to deal with whatever she wanted to tell me later in the night…once I put my mind to ease…..


The cab driver asked me “Kahan jana hai madam” and I again one more reflex reaction “Wadala station bhaiyya”. And I again started thinking…..
Cab Driver: Aaj der ho gayi madam
Me: Kya bhaiyaa?
Cab Driver: Maine poocha madam aaj der ho gayi
Me: Haan bhaiyaa kya karein !!
Cab: Bank mein kaam kartey ho madam
Me: Haan bhaiyaa (Reflex )
Cab: Kaun sa
Me: Kya bhaiyya
Cab: Maine poocha madam kaun sa bank
Me: XXX
Cab: Par madam woh bank thodi na hai is bldng mein
Me: ??????
Cab: Woh bank toh Nariman point mein hai. Acha aapka matlab XXX hai…woh toh investment bank hai
Me (a little surprised with his GK): haan bhaiyya wohi
Cab: Tabhie madam aap itna der tak rehti ho …
Me: Haan bhaiyaa kya karein!
Cab: Aur abhie bhi kaam ke bare mein soch rahe ho
Me: Ha ha haan bhaiyaa
Cab: Aapko pata hai madam meri ek bitiya hai…aap hi ki jitni…who padhayi mein bahut aage hai…ek wakt ki roti kha ke padhaya hai madam maine usko….CA banna chahti hai…par madam main nahi chahtaki woh CA bane
Me: Kyun bhaiyaa…aaj kal CA ka toh bahut demand hai?
Cab: Haan madam demand toh hai…us se kya hota hai…CA karegi toh aap hi ki tarah kahin kisi bank mein ghusegi aur roz der raat tak kaam karti rahegi…na ghar ke bare mein sochegi na khud ke bare mein…chain nahi milega usey…paise se kya karna madam…khane ko do roti chahiye…who toh meri bitiya lecturer ya professor banke bhi kama sakti hai…


Meri beti agar professor ban gayi kal ko maan lo madam mere jaise dus baap usko aashish denge….dua denge…ki meri bitiya unke bachon ki zindagi sawaar rahi hai….CA ban jane se kya hoga…meri bitiyako char log gaali denge din mein…ke unke Company mein nuksaan ho gaye…kaise bhi zhol zhal karke phaiyda karwao…aur nahi kar payi toh shareholder gaali denge…and kar diya toh auditor gaali denge…kyun madam yeh sab baimaani ka kaam karo…chalo maan liya baimaani nahi karegi par kaun sa kisika upkaar kar legi…na khud ka upkaar karegi na doosron ka….kyun madam sahi kaha na?


My stoppage had come till then and I got down from the cab…paid the cab driver the fare and walked down to my building from the society compound gate…on the way I called back my mother….